Total Pageviews

Sunday, 10 June 2012

Sita ki kahaani

Ashram mei Rishi Valmik the, aur poochi unse Sita-
Dimaag se kahoon ki yaad na kar ya dil se kahoon tu pyaar na kar?
Tej punj ve rishivar bole, avatarit jag-janani se-
Dimaag par Ram ke pag dharo aur dil ko unke pagon par


Pushpak par jab safar kare the, Dharti Maa se boli Sita- 
Prakhyath hamein na ban.na tha Maate, ban.na thaa ek patni parinita





Saturday, 19 May 2012

Prem na koi dhaaga hai ki tute se fir na jude; shuddh sheethal jal sa hai ki laati pade na batein

Sunday, 5 February 2012

"Dil se jo nikle, dil hee ko laute" 
‎"Tairoon, thakoon, sab sveekar hai Maa;
saagar ke safar mei dil na doobe" 
"Dharthi par maati ki puthli hee rahoon,
bhale hee aasman mei sitaara banoon,
thakaan tho beech ke safar mei hai,
oopar udoon ya neeche uthroon" 
"Faasle se yeh faisla na badlega,
doori na hamara kuch lootega.
Jeevan se na shikve na koi maange,
dil se woh dil nahi mitega'