Total Pageviews

Wednesday 11 December 2013

"Khushi hamse door hati, dete dua- sadaa khush raho;
aansu mere haste rahe" Sita boli Dharthi se.
Sita ka premsagar kabhi na sukha,
ki har aansu jo vidhi ne diya,
behkar banaa ek premsagar
'Mere sthaan mei vaas kari jo kya paaya kya khoya?'
Utthar mei kahi Sitamaata apni Maa Dharthi se,
 'Paana khonaa mein nahi jaana, jaana bhaav suhaana -
 aate bhi kahi Ram Ram aur jaathe bhi kahi Ram' 

Tuesday 1 October 2013

"Bandhan mei mukthi aur mukthi mei bandhan
Do dilon ka yahi hai spandhan"
"Preet mei kitni sacchaayi? 
Prashn ye nirarthak hai, 
ki Radha kahe meri sacchaayi mei 
kewal mera preet hai" 
"Preet hai sathya ya mithya hai, 
prashna uthe tho Radha kahe, 
Kanha sathya tho preet bhi sathya,
 Kanha jhoot tho preet hai jhoot; 
jo Kanha jhoot tho sathya bhi jhoot 
aur Kanha sathya tho jhoot bhi sathya" 

Friday 20 September 2013

“Mayur nache saavan mei, 
sansaar kahe kya rang hai!
 Radha kahe tu maathr ek 
wo pankh sheesh par Kanha ke” 

Thursday 19 September 2013

"Raghuvar saath tho terah saal ke kaanan kshan Siya svarg svaroop; Siyavar bin Siya sone ki Lanka ek saal kaal dank svaroop" SB
Pyaar tho ek hee boond hai,
is ek boond mei saagar hai.
Ek bhaav mei anek bhaav
sametaa dil ek gaagar hai

Thursday 12 September 2013

'Chaand abhi bhi dur sahi, diya ko kaise paryapth manoon dil ki roshni ke liye?
Badara aaj bhi dur hai tho kya saagar paryapth hai hariyali Dharani ke liye?' 
"Kab tak prateeksha karo" jab mann ne poocha Radha se,
 thakurani wo Radhika rani boli apne dil se 
'Samay bhi mere Kanha hai, prateeksha bhi Kanha hai, 
dil bhi, mann bhi, prashna prashna bhi aur uttar bhi Kanha hai" SB

Friday 8 March 2013


Ih ya par, lok tho lok
Chup raho tho kavi ka janam
na raho tho kahaani shuru

Wednesday 6 March 2013

"My heart says You'll get me the heart in there, for You live in there too; 
there's hung no clock nor calendar, it's just the heart and You"
"Radha ya Sita na dooje ho sakhthe, ye neera nathmasthak un charanon par; 
is dil ke svar ka, shuddhatha ki shreni mei, apna hi naam ho, sun mere Brajvar" 
aur Brajvar ke karon se aisa thaa aashish, ki nathmasthak neera tho Meera kehlayee 

Saturday 23 February 2013

‎"Do not worry if your boss cannot remember you as a person who flatters him. 
 Let him remember you as a person he could never shake. 
 For, such a person will one day be a pillar to the boss"